Pages

Friday, 5 August 2011

Seminal Fluid Discharge And Health Mani (semen) Ka Ikhraj Sehat Kay Liye Nuqsandeh Hai

Yeh baat 100% ghalat hai ka mani (semen) ka ikhraj sey sehat per burey asraat partey hain bul kay haqeeqat yeh hai kay mani ka ikhraj sehat kay liye bohut mufeed hai. Kyun kay iss kay ikhraj sey insan ko hamesha zehni aur jismani sukoon milta hai jis sey sehat achi hoti hai na kay kharab. Iss liye naee shaadi ki sorat jab naujawan zyada mubashrat (Intercourse) kar kay zyada mani (semen) kharij kartey hain to inki sehat kharab honay ka bajaey behter hoti hai aur aksar naujawan shadi kay baad motey ho jatey hain. (Time:Zakir:Mobeen)

Mani (semen) Ki Miqdaar Mein Kami Mardana Kamzori Ki Alamat Hai?

Mani (seminal fluid) kay hawaley sey ek aam khayal yeh bhi hai kay agar inzal (ejaculation) ka waqt kam miqdar mein mani (semen) kharij ho to yeh (erectile dysfunction) ki alamat hai. Iss ka haqeeqat sey door ka bhi koi ta'alluq nahi. Mani (semen) ki amount ka inhisar kay baton per hai. Naujawano mein mani (seminal fluid) ki miqdar zyada hoti hai. Magar 50 years kay baad iss ka amount kam ho jata hai. Issi tarhan agar jaldi jaldi mani (semen) kharij kari jai yani rozana (Intercourse) kari jaey to bhi mani (semen) ka amount kam hoga aur agar week mein ek bar mubashrat (Intercourse) ki jaey to mani (seminal fluid) ka amount zyada hoga. Issi tarhan agar insan sexually zyada stimulate ho yani lamba ho to bhi zyada miqdar mein mani (semen) kharij hogi. Waisey ki research kay mutabiq average 1 inzal (ejaculation) mein 3.5 ml mani (semen) kharij hoti hai

No comments:

Post a Comment