Pages

Friday, 5 August 2011

Post Micturation Dribble - Drops After Urine Qatrey (Post Micturation Dribble - Drops After Urine):

Aksar naujawan qatron ki shikayat kartey hain. Aisey naujawan na sirf kamzori mehsoos kartey hain bul kay kapron ko napak samajh kar namaz nahi parhtey hain. Yeh qatrey (drops) kiya hain? Jab bhi koi shaks specially unmarried naujawan sex kay hawaley sey sochta hai, tasawwur karta hai ya jinsi baat sunta hai ya koi jinsi book parhta hai. Nude picture dekhta hai ya jins e mukhalif ko dekhta ya uss sey baat karta hai to jinsi haejan ki wajha sey iss kay penis sey white laisdar liquid kharij hota hai. Yeh liquid kabhi (erection) kay sath kharij hota hai jab kay aksar shahooat aur tanau kay baghair hi kharij hota hai. Yeh essi tarhan hai jis tarhan mithai ko dekh kar insan kay mu'nh mein pani bhar ata hai. Mani (semen) ki thaeliyan usually 3.5 days kay baad bhar jati hain aur agar kaee din mani (seminal fluid) ka ikhraj na ho to mamooli jinsi haejan ki wajah sey yeh thailiyan sukarr kar mani (semen) kay 1 ya 2 qatrey (drops) baghair lutf kay kharij kar daiti hain. Yeh koi beemari ya khatarnak cheez nahi aur na hi iss ka kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat hain. Kyun kay (seminal fluid) koi qeemti cheez nahi. Thook jitni qeemti hai.

Aksar yeh qatrey (drops) mani (seminal fluid) ka bajai sey nikalney wala liquid hota hai. Yeh liquid kisi ka zyada aur kisi ka kam nikalta hai. Issi tarhan yeh liquid kisi shakhs ka garha aur kisi ka patla hota hai. Kuch neem hakeem iss ko bhi jiryan kahtey hain aur naujawanon ko bey hud khaufzada kartey hain kay iss sey naujawan jinsi tor per kamzor hojata hai aur shadi ka qabil nahi rehta. Research sey maloom hua hai kay yeh liquid aik khaas hikmat kay tehet kharij hota hai.

No comments:

Post a Comment