Humarey haan yeh ajeeb baat hai kay log bachon ko (sex education) fraham karney ko bura samajhtey hain, hala'n kay yeh talim deegar ashkaal mein mufassal tor per school, college aur university ki satah per biology, physiology, anatomy, gynecology aur psychology kay mazameen kay students ko dii jati hai. Allah ta'ala ney Quran majeed aur Hazrat Muhammad ney ahadees mein tafseel kay sath yeh zaroori aur fitri ma'aloomaat fraham kii hain, yani yeh bari ajeeb baat hai kay jis baat ko Quran aur sahib e Quran bataein hum usey batatey huey sharmaein. Kya bachon ko paki, na paki kay baarey mein ma'aloomat nahin milni chahiyien, kya naujawano'n ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay kis tarah karna hai, kya inn ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay qatro'n kay ikhraj sey ghusl farz nahin hota. Bohut sey naujawan namaz parhney mein iss liye bhi kotahi kartey hain kay woh inn qatro'n ko paleed samajhtey hain hala'n kay yeh qatrey napaak nahin hotey. Iss soorat mein sirf penis ko dho lena aur wuzu kar lena kafi hai. Kya naujawano'n ko yeh nahin ma'aloom hona chahiyie kay (seminal fluid) koi qeemti cheez nahin aur na hi peeshab pakahnaey ki tarah napaak hai. Khush mani ko ragerr kar saaf kya ja sakta hai. Isi tarah kya naujawano'n ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay
No comments:
Post a Comment