Guzishta saddi mein musht zani (Masturbation) kay hawaley sey taraqqi yaafta dunya mein bohut research hui aur abhi tak iss kay kisi tarah kay nuqsaan sabit nahin ho sakey. Iss silsiley mein bunyadi kaam ek American doctor Master ney apni biwi Johnson kay sath mil kar kya. ney taqreeban 22 saal sex kay 14 hazar mukhtalif unwaanaat per research ki. Unn ki research sey bhi yehi baat sabit hui kay musht zani kay kisi bhi tarah kay koi nuqsan nahin.
Ek research mein kuch naujawano'n ko kaee maah tak rozana zyada sey zyada musht zani karney ko kaha gaya. Research kay shuru mein tamam naujawanon kay bohut sey tests kiye gaye. Muqarrara waqt kay ba'ad inn afraad ko inhi tests ki madad sey dobara check kya gaya aur musht zani kay kisi bhi tarah kay burey asraat saamney na aaey.
Ek aur research mein kaee100 afraad per tajurba kya gaya, inn ko din mein kaee baar musht zani karney ko kaha gaya. Kaee maah tak musalsal yeh amal jari raha research ki takmeel per inn afraad kay tests kiye gaye to kisi bhi fard ko koi bhi kharabi ya kamzori na hui.
Kuch reports sey to yeh bhi ma'aloom hua kay jin atheletes ney muqabley sey kuch der pehley musht zani (Masturbation) ki woh relax aur fresh ho gaey aur unhon ney apney qaumi record ko torra. Atheletes aura am logon kay sath aur bhi bohut si shaandaar research jin sey musht zani ki tabaah kaariyon mein sey kuch bhi sach sabit na ho saka.
No comments:
Post a Comment